Sunday, December 18, 2005

Hindi Song Title: Deewana Hai Ye Dil

Hindi Song Title: Deewana Hai Ye Dil
Hindi Movie/Album Name: PARDES
Singer(s): SONU NIGAM, HEMA SARDESAI & SHANKAR MAHADEVAN

Dil Ye Dil
Dil Ye Dil
Dil Ye Dil

Ye Dil
Deewana
Deewana Hai Ye Dil
Deewane Ne Mujhko Bhi Ah Kar Daala Deewana
Maine Uske Shahar Ko Chhoda
Uski Gali Mein Dil Ko Toda
Phir Bhi Seene Mein Dhadakta Hai Ye Dil
Maine Dil Se Usay Nikaala
Jo Na Karna Tha Kar Daala
Phir Phi Yaad Usi Ko Karta Hai Ye Dil

Ye Dil
Deewana
Deewana Hai Ye Dil

God saves the world
World saves the man
Man saves the heart
Heart saves love

Dil Dil Dil
Dil Dil Dil

Dil Ki Khata Bhi Hai Kya
Mujhko Gila Bhi Hai Kya
Is Dillagi Ke Siva Dil Ne Kiya Bhi Hai Kya
Aashiq Hai Ye Chor Nahin Main Kya Karoon
Dil Pe Mera Zor Nahin Hai Main Kya Karoon
Aashiq Hai Ye Chor Nahin Main Kya Karoon
Dil Pe Mera Zor Nahin Hai Main Kya Karoon

Ye Dil
Deewana
Deewana Hai Ye Dil

Dil Kaisa Bepeer Hai
Vo Ek Tasveer Hai
Main Kehta Hoon Tod De Kehta Hai Zanjeer Hai
Koi Kachchi Dor Nahin Hai Main Kya Karoon
Dil Pe Koi Zor Nahin Hai Main Kya Karoon
Koi Kachchi Dor Nahin Hai Main Kya Karoon
Dil Pe Koi Zor Nahin Hai Main Kya Karoon

Ye Dil
Deewana
Deewana Hai Ye Dil
Deewana Dil
Deewane Ne Mujhko Bhi Ah Kar Daala Deewana
Deewana Dil
Maine Uske Shahar Ko Chhoda
Uski Gali Mein Dil Ko Toda
Phir Bhi Seene Mein Dhadakta Hai Ye Dil
Dil Dil
Maine Dil Se Usay Nikaala
Jo Na Karna Tha Kar Daala
Phir Phi Yaad Usi Ko Karta Hai Ye Dil
Dil Dil

Ye Dil
Deewana
Deewana Hai Ye Dil
Deewana Dil
Deewane Ne Mujhko Bhi Ah Kar Daala Deewana
Deewana Dil

Ye Dil
Dil Dil Deewana Dil
Dil Dil Paagal Dil
Dil Dil Dil Dil

Dil Dil Dil Dil
Dil Dil Dil Dil
Dil Dil Dil Dil
Dil Dil Dil Dil
Dil Dil.

Wednesday, November 23, 2005

Aankhon mein raha

Aankhon mein raha, dil mein utar kar nahi dekha,
kisti ke musafir ne,samandar nahi dekha....

be-waqt agar jaaunga,sab chaunk padenge,
ek umr huii, din mein kabhi ghar nahi dekha...

jis din se chalaa hoon, meri manzil pe nazar hai,
aankhon ne kabhi miil ka patthar nahi dekha....

yeh phool mujhe koi viraasat mein mile hain,
tumne mera kaanto bharaa bistar nahi dekha....

patthar mujhe kehta hai,mera chahne waalaa,
main moum hoon, usne mujhe chhukar nahi dekha....

Wednesday, September 14, 2005

Ret ke mahal

Kyoon banaati ho tum ret ke yeh mahal
Jinko ek roz khud hi mitaaogi tum
Aaj kehti ho is diljale se pyaar hai tumhe
Kal mera naam tak bhool jaaogi tum

Finally my reply

Is zalim duniya main kaun jeena chahta hai,
Agar tu mil jaye,to baat kuch aur hai

Teri duniya ko chhod ke jaane mann to nahi karta,
Marte waqt tera aanchal mil jaye,to baat kuch aur hai

Rishiraj's Reply :Again

Armanoo ki barat to kai baar sajai hai dil me,,
Kisi ko lage wo janaza, to baat aur hai,,

Dil lagake dard kaun paana chahta hai, ae dost,,
Par Dil milae bina gar chahat mile, to baat aur hai..

DG's reply

Tere dil mein to armaan shayad paida bhi na hue ho
Per mere yanha armaano ka woh kabristann, aaj bhi hai..

Dil lagane ki khata na karna ae dost,
Dard milne ki saza, aaj bhi hai.....

Rishiraj's Reply

> rasm-e-duniya nibhane ko mil rahi hain ab
> tujhe dil se mila kerte the, magar pehle kabhi
Rasm-e-duniya ko to hum tab bhi nibhaya karte the,,
magar tadap usse milne ki dil me, aaj bhi hai,,

>
> is dil main teri chahat ka nishaan hi nahi
> in ankhoon main tere khawab the, magar pehle kabhi
ankhoon me bhale na jhalakti ho aaj chahat uske lie,,
par dil pe pade chahat ke nishaan, aaj bhi hai,,

>
> ab tujhe yaad ker ke dil machalta b nahi
> tere naam se armaan machalte the, magar pehle kabhi
khil uthti hai muskaan ab bhi, jab naam uska aata hai,,
Sachche dil se ki chahat ka rang, aaj bhi hai,,

>
> wo chala gaya chor ker hum roe bhi nahi
> us ke janey per hum rote the, magar pehle kabhi
mana wo chale gae hai hume choodkar akela,,
par ankhoon me uski khatir do ansu, aaj bhi hai,,

To add it :::::
Ye dil sambhal jae, gar koi saath nibhaye mera,
Baharo me khili hui kitni kaliyan, aaj bhi hai...

Monday, September 12, 2005

Magar Pehle Kabhi

hum tujhe chahte the magar pehle kabhi
tujh ko apne kehte the, magar pehle kabhi

rasm-e-duniya nibhane ko mil rahi hain ab
tujhe dil se mila kerte the, magar pehle kabhi

is dil main teri chahat ka nishaan hi nahi
in ankhoon main tere khawab the, magar pehle kabhi

ab tujhe yaad ker ke dil machalta b nahi
tere naam se armaan machalte the, magar pehle kabhi

wo chala gaya chor ker hum roe bhi nahi
us ke janey per hum rote the, magar pehle kabhi

Monday, July 11, 2005

Kisi muskuraahto pe ho nisar

kisee kee muskuraahaton pe ho nisaar

kisee kaa dard mil sake to, le udhaar

kisee ke waasate ho tere dil mein pyaar

jeenaa isee kaa naam hai



maanaa apanee jeb se fakeer hai

fir bhee yaaro dil ke hum ameer hai

mite jo pyaar ke liye wo jindagee

jale bahaar ke liye wo jindagee

kisee ko ho naa ho humei to ayetabaar, jeenaa isee kaa naam hai



rishtaa dil se, dil ke ayetabaar kaa

jindaa hain hum hee se naam pyaar kaa

ke mar ke bhee kisee ko yaad aayenge

kisee ke aasuon mein muskurayenge

kahegaa ful har kalee se baar baar, jeenaa isee kaa naam hai

Friday, July 01, 2005

One more on life at IITB

dar dar bhatkate firte hain arman ki tarah,
har koi milta hai ANJAN ki tarah,
is duniya se khushi ki aas kya rakhni,
ghum bhi dete hai ehsan ki tarah

My current Sitution

zindagi se badi sazaa hi nahin
aur kya jurm hai pataa hi nahin

itne hisson mein bat gaya hoon main
mere hisse mein kuch bachaa hi nahin

Monday, June 20, 2005

"Dil Kya Kare" from Kaante --- Completey describing my situation

DIL KYA KARE

CHORUS:
jo achchha lagta hai jo pyaara lagta hai... What seems good, what seems lovely...
jab rahane lage voh pare yeh dil kya kare when it starts to keep away, what should this heart do?
yeh dil kya kare... What should this heart do?
Chorus
zi.ndagii merii bin tere kya hai dil mera jaanta hai... What's my life without you in it? My heart knows...
laakh samjhaa'uu.n mai.n apne man ko diiwaana kab maanta hai A hundred thousand times I'll explain to my mind; when will the mad thing accept it?
rah rahke ye aahe.n bhare Again and again it fills with sighs.
yeh dil kya kare... What's this heart to do?
Chorus
har ghaRii tuu khayaalo.n me.n mere bas tujhe sochtii huu.n... At every moment, you're in my thoughts; I only think of you...
jis taraf bhii nazar ghuumtii hai mai.n tujhe dekhtii huu.n Whichever way my gaze wanders, I see you.
tere piichhe agar na phire If it doesn't turn after you,
yeh dil kya kare... what's my heart to do?
Chorus

Friday, May 06, 2005

May be she will be thinking..............

Sab se Chhupa Ke Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj to Mujh ko bhi rula Diya

Lahje Se Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ki Kuch Ganwa Diya

Awaz Mein thehrao tha Aankhon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Maine Sab Kuch Bhula Diya

Jane Kya thi Usko, Logoon Se itni Shikayaten
Tanhayion Ke Desh Main Khud Ko Basa Diya

Khud Bhi Woh Hum se Bicher Ker Adhura Sa Ho Giya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya...!!!

Sunday, February 06, 2005

"Kaise bataaoon main tumhe" from WAJOOD by Javed Akhtar

Kaise bataaoon main tumhe

Mere liye tum kaun ho, kaise bataaoon
Kaise bataaoon main tumhe
Tum dhadkanon ka geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho
Tum zindagi tum bandagi
Tum roshni tum taazgi
Tum har khushi tum pyaar ho
Tum preet ho manmeet ho
Aankhon mein tum yaadon mein tum
Saanson mein tum aahon mein tum
Neendon mein tum khwaabon mein tum
Tum ho meri har baat mein
Tum ho mere din raat mein
Tum subaah mein tum shyaam mein
Tum soch mein tum kaam mein
Mere liye paana bhi tum
Mere liye khona bhi tum
Mere liye hasna bhi tum
Mere liye rona bhi tum
Aur jaagna sona bhi tum
Jaaoon kahin dekhoon kahin
Tum ho vahan, tum ho vahin
Kaise bataaoon main tumhe
Tum bin to main kuch bhi nahin
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Yeh jo tumhaara roop hai
Yeh zindagi ki dhoop hai
Chandan se tarsha hai badan
Behti hai jis mein ek agan
Yeh shokhiyaan yeh mastiyaan
Tumko hawaaon se mili
Zulfein ghataaon se mili
Honton mein kaliyaan khil gayi
Aankhon ko jheele mil gayi
Chehre mein simti chaandni
Aawaaz mein hai raagini
Sheeshe ke jaisa ang hai
Phoolon ke jaisa rang hai
Nadiyon ke jaisi chaal hai
Kya husn hai kya haal hai
Yeh jism ki rangeeniyaan
Jaise hazaaron titliyaan
Baahon ki yeh golaaiyaan
Aanchal mein yeh parchhaaiyaan
Yeh nagriyaan hai khwaab ki
Kaise bataaoon main tumhe
Haalat dil-e-betaab ki
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Kaise bataaoon, kaise bataaoon
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum dharam ho
Mere liye imaan ho
Tum hi ibaadat ho meri
Tum hi to chaahat ho meri
Tum hi mera armaan ho
Takta hoon main har pal jisse
Tum hi to voh tasveer ho
Tum hi meri taqdeer ho
Tum hi sitaara ho mera
Tum hi nazaara ho mera
Yudhyaan mein mere ho tum
Jaise mujhe ghere ho tum
Purab mein tum pachhim mein tum
Utar mein tum dakshin mein tum
Saare mere jeevan mein tum
Har pal mein tum har chir mein tum
Mere liye rasta bhi tum
Mere liye manzil bhi tum
Mere liye saagar bhi tum
Mere liye saahil bhi tum
Main dekhta bas tumko hoon
Main sochta bas tumko hoon
Main jaanta bas tumko hoon
Main maanta bas tumko hoon
Tum hi meri pehchaan ho
Kaise bataaoon main tumhe
Devi ho tum mere liye
Mere liye bhagwaan ho
Kaise bataaoon main tumhe
Mere liye tum kaun ho
Kaise

Saturday, January 22, 2005

Duniya

ye meri hasratein poori hone bhi nahi deti,
dil-e-nakaam ko duniya rone bhi nahi deti

kabhi socha ke gham iske mila ke meh mein pe jaon,
badi zaalim ye duniya, ke peene bhi nahi deti

diye hain zakhm duniya ne to isme kya kayamat hai,
musibat ye hain mere dil, ke seene bhi nahi deti

ajab aadaab hain is bemehar be-ma'ni duniya ke
jo mar jao to roti hain, jeene bhi nahi deti