Wednesday, September 14, 2005

Ret ke mahal

Kyoon banaati ho tum ret ke yeh mahal
Jinko ek roz khud hi mitaaogi tum
Aaj kehti ho is diljale se pyaar hai tumhe
Kal mera naam tak bhool jaaogi tum

Finally my reply

Is zalim duniya main kaun jeena chahta hai,
Agar tu mil jaye,to baat kuch aur hai

Teri duniya ko chhod ke jaane mann to nahi karta,
Marte waqt tera aanchal mil jaye,to baat kuch aur hai

Rishiraj's Reply :Again

Armanoo ki barat to kai baar sajai hai dil me,,
Kisi ko lage wo janaza, to baat aur hai,,

Dil lagake dard kaun paana chahta hai, ae dost,,
Par Dil milae bina gar chahat mile, to baat aur hai..

DG's reply

Tere dil mein to armaan shayad paida bhi na hue ho
Per mere yanha armaano ka woh kabristann, aaj bhi hai..

Dil lagane ki khata na karna ae dost,
Dard milne ki saza, aaj bhi hai.....

Rishiraj's Reply

> rasm-e-duniya nibhane ko mil rahi hain ab
> tujhe dil se mila kerte the, magar pehle kabhi
Rasm-e-duniya ko to hum tab bhi nibhaya karte the,,
magar tadap usse milne ki dil me, aaj bhi hai,,

>
> is dil main teri chahat ka nishaan hi nahi
> in ankhoon main tere khawab the, magar pehle kabhi
ankhoon me bhale na jhalakti ho aaj chahat uske lie,,
par dil pe pade chahat ke nishaan, aaj bhi hai,,

>
> ab tujhe yaad ker ke dil machalta b nahi
> tere naam se armaan machalte the, magar pehle kabhi
khil uthti hai muskaan ab bhi, jab naam uska aata hai,,
Sachche dil se ki chahat ka rang, aaj bhi hai,,

>
> wo chala gaya chor ker hum roe bhi nahi
> us ke janey per hum rote the, magar pehle kabhi
mana wo chale gae hai hume choodkar akela,,
par ankhoon me uski khatir do ansu, aaj bhi hai,,

To add it :::::
Ye dil sambhal jae, gar koi saath nibhaye mera,
Baharo me khili hui kitni kaliyan, aaj bhi hai...

Monday, September 12, 2005

Magar Pehle Kabhi

hum tujhe chahte the magar pehle kabhi
tujh ko apne kehte the, magar pehle kabhi

rasm-e-duniya nibhane ko mil rahi hain ab
tujhe dil se mila kerte the, magar pehle kabhi

is dil main teri chahat ka nishaan hi nahi
in ankhoon main tere khawab the, magar pehle kabhi

ab tujhe yaad ker ke dil machalta b nahi
tere naam se armaan machalte the, magar pehle kabhi

wo chala gaya chor ker hum roe bhi nahi
us ke janey per hum rote the, magar pehle kabhi