Wednesday, October 04, 2006

From "Lage Raho Munna Bhai"

Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?

Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?

Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum
par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?

Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi?
108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?

Internet ki duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.

Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?

Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?

To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?

Saturday, August 26, 2006

Magar Jaane De

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Tuesday, June 27, 2006

From Diljale

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi

Aarzoo jhooth hai, Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..Dil kabhi kisi se lagana nahi.

Kyuon Banati ho tum ret ke mahal,
Jise khud hi tod dalogi tum
Aaj kehti ho is dijlale se pyar hai tumhe,
Kal to mera naam tak bhul jayogi tum

From Sarfarosh

phool khilte hai bahaaron ka samaa hota hai
aise mausam mein hi to pyaar javaan hota hai
dil ki baaton ko hothon se nahi kehte,
ye fasaana to nigaahon se bayaan hota hai

"Sharabi Shayari" From Sharabi

Aaj utni bhi nahin Mehkhane mein ,
Jitni hum chodh diya karte the Paimaane mein...

From Hum Aapke Hai Kaun

Kaate Nahin Kat Te Lamhe Intezaar Ke,
Nazaren Bichaein Baithe Hain Raste Pe Yaar Ke,
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husne Yaar Ke,
Laya Hain Unhe Kaun Falak Se Utaar Ke...

From Raaz

garmiye hasrat ke nakam se jalte hai
hum chiragon ki tarah shaam se jalte hai...
jab aata hai tera naam mere naam ke saath..
naa jano kyon log hamare naam se jalte hai

From "Tum Bin"

Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Phir Shaam-E-Tanhaai Jaagi
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Jaan Nikalne Lagi Hai
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Is Dil Mein Yaadon Ke Mele Hain
Tum Bin Bahut Hum Akele Hain
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Kya Kya Na Socha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaaye
Kya Kya Na Chaaha Tha Dil Ne
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Is Dil Se Toofaan Guzarte Hai
Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai...

Yun to guzar raha hai har ik pal khushi ke saath

Yun to guzar raha hai har ik pal khushi ke sath,
Phir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.

Rishte wafaein dosti sab kuch to pass hai,
Kya baat hai pata nahi, dil kyun udass hai,
Har lamha hai haseen, nayi dilkashi ke sath
Phir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.

Chahat bhi hai sukun bhi hai, dilbari bhi hai,
Aankhon mein khawab bhi hai, labon par hasin bhihai
Dil ko nahi hai koi shikayat , kisi ke sath
Phir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.

Yun to guzar raha hai har ik pal khushi ke sath,
Phir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.

Socha tha jaisa waisa hi jivan to hai magar,
ab aur kis talash mein bechain hia nazar,
Kudrat bhi meharbaan hai dariyadillli ke sath,
Fhir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.

Yun to guzar raha hai har ik pal khushi ke sath,
Fhir bhi koi kami si hai kyun jindgi ke sath.

Sunday, June 18, 2006

From Fanaa

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaye

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....

Phool hun Gulaab ka
Chameli ka mat samjhna
Aashiq hun aapka
Apni Saheli ka mat samjhna

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..


Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte

Rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhe Sujane De
Baho Mein Le Le Aur, Khud Ko Bheeg Jane De
Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya, Wo Choot Jayega
Hai Itna Dard Ki, Tera Daaman Bheeg Jayega

Adhuri saans thi dhadkan adhoori thi adhooren hum
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum

From Devdas

Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, to dard nahi hota
Takleef to tab hoti hai, Jab log wah-wah karte hain

Apne hisse ki zindagi to hum kabke jee chuke,
Ab to sirf dhadkanon ka lihaj karte hain,
Kya karen is duniya walon ka,
Jo aakhari dhadkano pe bhi aitaraz karte hain.

Yu nazar se nazar ki baat ki, ki dil chura le gaye
hum to samjhe the but, aap to dhadkan suna gaye

Thursday, May 18, 2006

Pyar ka Tohfa

pyar ne ye kaisa tohfa de diya
mujhko gumo ne pathar bana diya
teri yaadon main hi kat gayi ye umar
kehta raha tujhe kab ka bhula diya

Dil ka khel

Jisne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake.
Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake.
Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake.

Friday, March 10, 2006

Tum

Tum milo na milo,na milne ka gham nahi,
tum paas se hi gujar jaao, milne se kum nahi.
maana ki tumhe hamaari kadr nahi,
magar unse puchho jinhe hum haasil nahi.

Thursday, March 09, 2006

Lyrics : Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya: Hum Dono

"Maein Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya

Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Maein Usko Bhulata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…

Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Maein Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…"

one more from Sahir Ludhianvi

"Pyaar Par Bas To Nahin Hai Lekin Phir Bhi
Tu Bata De Ki Main Tujhe Pyaar Karoon Ya Na Karoon"

From: Sahir Ludhianvi

"Zindagi Sirf Mohabbat Nahin Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-o-Rukhsaar ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Bhookh Aur Pyaas ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahin Kuch Aur Bhi Hai."

Monday, February 27, 2006

Tumhe kanha bhul pate hain

Socha tha sirf tanhai mein yaad aaya karoge
kya khabar thi ki bheed mein bhi tadpaya karoge

Kis khata ki dete rahe ho saja humko
paas aak kar sada door rakhte rahe humko

chaand taaron ki kasam tumhko bhula nahi paate
muskuraayein kitna bhi,per aansoo thum nahi paate

keechad mein jaise kamal khil jaate hain
kitni bhi karo bewafai, tumhe kahan bhul paate hain

ruhi"

Tuesday, February 14, 2006

mulakat

kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai,
pyas bhujti nahi, ki barsaat guzar jaati hai,
apni yaadon se kehdo, ki yu na aaya kare,
neend aati nahi, aur raat guzar jati hai....

Wednesday, February 08, 2006

KASOOR - Dil mera tod diya usney

Aaah aah, aaah aah, aah aah, aah aah, aah aah aah aah
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon - 2
Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon

Pehle maaloom na tha, aaj yeh maine samjha
Pyaar kehte hai jisse, voh hai dilon ka saudaa
Dil ki dhadkan ko bhalaa kaise koi qaid kare
Yeh to azaad hai jab chaahe jahan aahe bhare
Uske raste mein khadi kyoon koi deewar kare - 2

Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon
Aaah aah, aaah aah, aah aah, aah aah, aah aah aah aah

Saare vaadon ka bharam, pal mein voh tod gaya
Gham ke jis mod pe laake voh mujhe chhod gaya
Main ussi mod ki dehleez pe so jaaoongi
Umr bhar uske liye ajnabi ho jaaoongi
Har sitam shok se mujhpe dildaar kare - 2

Usko haq hai voh mujhe pyaar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, buraa kyoon maanoon
Buraa kyoon maanoon, buraa kyoon manoon

Some of Sahir Ludhianwi's lyrics

http://www.geocities.com/~sm0e/R-sahirLines.txt

sher

Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Mohobbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha, gam kam kiya to gam aur badh gaya.

saza muskurane ki

Bahut tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai, jo aaj hai aankhon mein aansoo,
Saza mili hai humein muskurane ki !"

Sunday, February 05, 2006

Tanhai ke mausam

"Tanhai ke mausam mein
Ankhain takti bas tumko
Zamana dekhta raha humko
Sapno ki raahain dekhti bas tumko"

Kuch bhi nahi

"Kuch bhi nahi
Socha nahi acha bura
Dekha suna kuch bhi nahi
Manga khuda say har waqt
Teray siwa Kuch bhi nahi !

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Mere wafa mere khata
Tere khata kuch bhi nahi !

Jis par hamare aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha Kuch bhi nahi !

Aur aik sham kee dehleez par
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha kuch bhi nahi !

Do chaar din kee baat hay
Dil khak main mil jaye ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baqee bacha Kuch bhi nahi !"

Sapno ki Duniya

Sapno ki duniya hai nirali,
Har taraf rehti hai hariyali.
Par asli duniya ki khabar rakhne wale jante hai,
Isiliye woh sapno ko sach nahi mante hai.

Mohabbat me

Mohabbat me Aksar yeh haal hota hai,
Ankhen hasti hai magar dil rota hai,
Mante hai hum jise manzil apni,
HUMSAFAR USKA KOI AUR HOTA HAI…….

Saturday, January 21, 2006

meri majburiaan

humsafar hota koi, to baant leta duriyaan
raha chaltay log kya samjhe meri majburiaan

Wednesday, January 18, 2006

Aadat Si Ho Gayee Hai

youn tanha jeene ki mujhe aadat si ho gayee hai
Anjaan raahoo pe chalne ki aadat si ho gayee hai

Wo meri mohabbat se rahein be-khabar taa qayamat
Mujhe yeh dua maangne ki aadat si ho gayee hai

Kab tak jhutlaoge un se mohabbat apni
Tumhari ankhon ko such bolne ki aadat si ho gayee hai

Na jane kiyo shaam dhalte hi yeh aankhein bheegh jaati hain
muje iss chehre ko ashqo mein chupane ki aadat si ho gayee hai

Aasmaa mein chamakta har sitara yeh gawaahi day ga
Mujhe tumhari yaadon mein neendein gawane ki aadat si ho gayee hai

Iss dunia mein shayad meri mohabbat ko koi na samaj sake
Logo ko mujhe nasamajh kehne ki aadat si ho gayee hai

Mehfil mein har shakhs yeh gila karta hai Saahil
Mujhe tanhayoun mein doobne ki aadat si ho gayee hai

Saturday, January 14, 2006

Paaya sa lage

Kyun tu muje apna sa lage,
Juda hoke bhi tu mera saaya sa lage,
Kaise bataun ab bhi mohhabat hai tujse,
Tuje khokar bhi tuje paaya sa lage..